Desi Dan Bilzerian Lyrics sung by King and taken from brand new album The Gorilla Bounce and music of this song is given by Section 8. Desi Dan Bilzerian song lyrics are also penned down by King and video is directed by Yash Chhabra.
Desi Dan Bilzerian Lyrics
Jo jante ni unko bhi lagun familiar
Bana main shaq se ni beshaq kahunga clear
Main maal fook’ke na likhun ye budhhi tezz itni
Albumein bana ke fekun ek below na million.
Main mauj kaatu jaise Desi Dan Bilzerian
Jo khaate khar saale baithe aj pavilion
Kal hi shaam esi bandi se mila tha jiska naam peeche kaur par vibe thi Brazilian
Khelein hum aag aur khelte hum raag se,
Ye bachhe kitne bhi bade – bade na baap se,
main naam rashi esi rakhke ghumta hun,
bande kehte kaam karne ka tareeka seekhe apse!
haan khulla khaana,
khud kamana,
khulke jeena,
Jinse milta,
Sab haseena,
Jaise ghumta bahaaron mein.
haan hun kamina,
par nageena,
Leke ghumu,
Har mahina,
Poora saal jaise jeeta hun tyohaaron mein.
Haan thoda papi,
Main gaali deta kaafi,
Par zindagi mein badne ke liye kabhi na chaati..
Teen button se bahar chhati,
Shine maare proud se,
Aur bhaichara rakhe na karte dekhke hum jaati.
Halla kaate poora hum jhund se dara na karte,
Kare fatey poori adhuri jung lada na karte,
Aagaz maar de ajaam se jo pehle
Hum vo kaal beta jinke haath roshini dhara na karte.
Khada ghamand hua to baat kyun baithate ho?
Kamzor dekhke hi haath kyun uthaate ho?
Akele mod di kalai aflatoono ki to duniya humse kehti itna kehke kyu jataate ho?
Jo raaz rakhle aisa raaz kisse raazi hai?
Main haar ke bhi jeeta kheli aisi baazi hai.
Ye Sach pasand nahi to kaan apne karlo band,
Main dheere dheere faadu beta konsi jald baazi hai.
Aankhe band karke bhi main dekhun duniya ko ye duniya gero se bhi zada apno se mari hui
Muthhi khol ke main kya hi lunga apno se jo apno ki hi aankhein mere chehre se jali hui
Mere haath dono baandh doge jhuthe ilzaamo se to maan lunga gero ke tum saath ho
Magar Har baat ka jawab deta hai ye waqt
Meri baatein kadwi ya tum kitne dil ke saaf ho
Aaj bhi shikand na maathe pe tum dekhoge
Chahe khada akele chaahe kitne piche waar ho.
Bhale manzoor na ho dushmano se haarna
Par dil ke tukde hote hain jab dushmano me
Yaar ho!
Ek din jab pata chalega sach to paer zameenein chhod denge aankhein khud se ruth jayegi
Hum to bethe honge pohoch se bhi door bekhabar tab jaani kadwi hi ye baatein tumko khayengi.
Apna kya hai hum to bande hi hain mood ke
Jaha milega pyaar hum vahi pe dil lootayenge
Humse kya hi paaoge tum dil dukhaake
Hum to iski bhi nazam banaake pyaar loot jayenge.
Teen nashe the pyaare ek aur judh gaya hai,
Tarrakki kehti raja mujhko leke udh gaya hai
Kehti pakad me main na aati ache acho ke
Par tujhme aisa kya hai mera poora dhyaan mudh gaya hai.
Ab kehti haar ka jua bhi jeetega
Main likh ke deti hun zamana tere liye ruk gaya hai
Agar pata chale farak to marz kosega
Main kya hun dava tu khud zeher jo peeke uth gaya hai.
Jo jante ni unko bhi lagun familiar
Bana main shaq se ni beshaq kahunga clear
Main maal fook’ke na likhun ye budhhi tezz itni
Albumein bana ke fekun ek below na million.
Main mauj kaatu jaise Desi Dan Bilzerian
Jo khaate khar saale baithe aj pavilion
Kal hi shaam esi bandi se mila tha jiska naam peeche kaur par vibe thi Brazilian.
Credits :-
Song – Desi Dan Bilzerian
Artist – King
Lyrics By – King
Composed By – King
Music Produced By – Section 8
Mix & Master By – Sshiv
Directed By – Yash Chhabra
Label – King