Hum Katha Sunate Lyrics

lyricsdon08
6 Min Read
Share With Friends
 Hum Katha Sunate Lyrics in English. Ramayan Bhakti song Lyrics. Luv Kush Hum Katha Sunate Rum Sakal Gun Dham lyrics. Hum Katha Sunate Lyrics in hindi.

Hum Katha Sunate Lyrics in english

Om Shree Maha Ganadhi Patey Namah
Om Shree Umamaheshawara Bhya Namah

Vaalmiki Gurudeva Ke
Kar Pankaj Teer Naam
Sumire Maat Saraswati
Hum Par Ho Hu Sahaay

Maat Peeta Ki Vandana
Karte Baaram Baar
Gurujan Raja Prajajan
Naman Karo Svikaar

Hum Katha Sunate Ram Sakal Gundham Ki
Hum Katha Sunate Ram Sakal Gundham Ki
Yeh Ramayan Hai Punya Katha Shree Ram Ki

Jambu Dweepe, Bharat Khande, Aryavarte
Bharat Varshe Ek Nagari Hai
Vikyat Ayodhya Naam Ki
Yahin Janma Bhoomi Hai
Param Pujya Shree Ram Ki…
Hum Katha Sunate Ram Sakal Gun Dham Ki
Yeh Ramayan Hai Punya Katha Shree Ram Ki……
Yeh Ramayan Hai Punya Katha Shree Ram Ki

Raghukul Ke Raja Dharmatma
Chakravarti Dashrath Punyatma
Santati Hetu Yagya Karvaya
Dharm Yagya Ka Shubh Phal Paya

Nrip Ghar Janme Chaar Kumaara
Raghukul Deep Jagat Adhaara…
Charon Bhraton Ke Shubh Naama
Bharat Shatryghna Lakshman Rama…

Guru Vashishtha Ke Gurukul Jaake
Alpa Kaal Vidya Sab Paake
Puran Huyi Shiksha
Raghuvar Puran Kaam Ki
Hum Katha Sunate Ram Sakal Gun Dham Ki
Yeh Ramayan Hai Punya Katha Shree Ram Ki
Yeh Ramayan Hai Punya Katha Shree Ram Ki

Mriduswar Komal Bhavana
Rochak Prastuti Dhang
Ek Ek Kar Varnan Kare
Lav-Kush Ram Prasang

Vishwamitr Mahamuni Raai
Inke Sang Chale Do Bhai

Kaise Ram Tadka
Kaise Naath Ahilya Taari

Munivar Vishwamitra Tab
Sang Le Lakshman Ram
Siya Swayamvar Dekhne
Pahunche Mithila Dhaam

Janakpur Utsav Hai Bhaari
Janakpur Utsav Hai Bhaari
Apne Var Ka Chayan Karigi
Sita Sukumari
Janakpur Utsav Hai Bhaari

Janak Raaj Ka Kathin Pran
Suno Suno Sab Koi
Jo Tode Shiv Dhanush Ko
So Sita Pati Hoyi

Jo Tode Shiv Dhanush Kathor
Sab Ki Drishti Ram Ki Oar
Ram Vinaygun Ke Avtaar
Guruvar Ki Aagya Sirddhar
Sehej Bhaav Se Shiv Dhanu Toda
Janak Suta Sang Naata Joda

Raghuvar Jaisa Aur Na Koi..
Sita Ki Samata Nahin Hoyi
Jo Kare Parajit Kaanti Koti Rati Kaam Ki
Hum Katha Sunate Ram Sakal Gundham Ki
Yeh Ramayan Hai Punya Katha Siya Ram Ki

Sab Par Shabd Mohini Daali
Mantramugdha Bhaye Sab Nar Naari
Yon Din Rain Jaat Hain Beete
Lav-Kush Ne Sab Ke Mann Jeete
Van Gaman, Sita Haran, Hanumat Milan
Lanka Dehen, Ravan Maran, Ayodhya Punaraagaman

Sab Vistar Katha Sunaayi
Raja Ram Bhaye Raghuraayi

Ram-Raj Aayo Sukh Daayi
Sukh Samriddhi Shree Gharghar Aayi

Kaal Chakra Mein Ghatna Kram Mein
Aisa Chakra Chalaya
Ram Siya Ke Jeevan Mein
Phir Ghor Andhera Chaaya

Avadh Mein Aisa Aisa Ek Din Aaya
Nishkalank Sita Pe Praja Ne
Mithya Dosh Lagaya!!
Avadh Mein Aisa Aisa Ek Din Aaya

Chaldi Siya Jab Todke
Sab Sneh-Naatae Moh Ke
Pashan Hridayon Mein Na
Angaare Jage Vidroh Ke
Mamtamayi Maaon Ke
Aanchal Bhi Simat Kar Reh Gaye
Gurudev Gyan Aur Neeti Ke
Sagar Bhi Ghat Kar Rehgaye….

Na Raghukul Na Raghukul Nayak
Koi Na Hua Sia Ka Sahayak…
Maanavta Ko Kho Baithe Jab
Sabhya Nagar Ke Vaasi
Tab Sita Ko Hua Sahayak
Van Ka Ek Sanyaasi….

Un Rishi Param Udaar Ka
Valmiki Shubh Naam
Sita Ko Aashray Diya
Le Aaye Neej Dham..

Raghukul Mein Kuldeep Jalaye..
Ram Ke Do Sut Siya Ne Jaaye..

Shrota Gan Jo Ek Raja Ki Putri Hain
Ek Raja Ki Putrvadhu Hain
Aur Ek Chakravati Samrat Ki Patni Hain
Wahin Maharani Sita
Vanvaas Ke Dukho Mein
Apne Dino Kaise Kaat Ti Hain
Apne Kul Ke Gaurav Aur
Swabhimaan Ki Raksha Karte Huye
Kisi Se Sahayta Maange Bina
Kaise Apna Kaam Woh Swayam Karti Hain…
Swayam Van Se Lakdi Kaant Ti Hain
Swayam Apna Dhaan Kootti Hain
Swayam Apni Chakki Peesti Hain
Aur Apni Santaanonko
Swavalambi Banane
Ki Shiksha Kaise Deti Hain
Ab Uski Karun Jhaani Dekhiye.

Janak Dulari Kulavadhu Dasharath Ji Ki
Raj Rani Ho Ke Din Van Mein Bitati Hain……

Rehti Thi Gheri Jise Das- Dasi Aatho Yam
Daasi Bani Apni Udaasi Ko Chupati Hain…

Dharam Praveena Sati Param Kulina Sab
Vidhi Dosh-Heena Jeena Dukh Mein Sikhati Hain
Jagmata Hari-Priya Lakshmi Swarupa Siya
Koonti Te Hain Dhaan Bhoj Swayam Banati Hain

Kathin Kulhadi Leke Lakdiya Kaant Ti Hain
Karam Likhe Ko Par Kaant Nahi Paati Hain…

Phool Bhi Uthana Bhaari Jis Sukumari Ko Tha
Dukh Bhari Jeevan Ka Bojh Woh Uthathi Hain

Ardhangi Raghuveer Ki Woh Dhare Dheer
Bharti Hai Neer Neer Jal Mein Nehlati Hain

Jiske Prajake Apvaadon Kuchakra Mein
Peesti Hai Chaaki Swabhiman Bachati Hain….

Paalti Hain Bachchonko Woh Karmayogini Ke Bhaati
Swabhimani Swavalambi Safal Banati Hain
Aisi Sita Mata Ki Pariksh Leti
Nithur Niyati Ko Daya Bhi Nahi Aati Hain…

O…Us Dukhiya Ke Raj-Dulaare…
Hum Hi Sut Shree Ram Tihaare….

O….Sita Maa Ki Aankh Ki Taare…Ae …
Lav-Kush Hain Pitu Naam Hamare….

He Pitu Bhagya Hamare Jaage
Ram Katha Kahe Ram Ke Aage…
hum katha sunate lyrics luv kush. Hum Katha Sunate Lyrics Ramayan. Hum Katha Sunate Lyrics in english. Hum Katha Sunate Rum Sakal Gun Dham in hindi.
Share This Article
Leave a comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *